Sab Ka Dildar Hai Dildar Bhi Aisa Waisa

sab ka dildar hai dildar bhi aisa waisa

ek mera yar hai aur yar bhi aisa waisa

dushman-e-jaan bhi nahin koi barabar us ke

aur mera hashiya-bardar bhi aisa waisa

be-talluq hi sahi us ko magar hai mujh se

ek sarokar sarokar bhi aisa waisa

us ka lahja ki bahut sada o masum sahi

hai fusun-kar fusun-kar bhi aisa waisa

'zauq' se us ko aqidat hai ki allah allah

aur 'ghaalib' ka taraf-dar bhi aisa waisa

kya zamana tha ki jab ahl-e-hawas ke nazdik

koi meyar tha meyar bhi aisa waisa

main bhi tamsil-nigari mein bahut aage tha

wo bhi fankar tha fankar bhi aisa waisa

koi uftad paDi thi ki abhi tak chup tha

ek suKHan-kar suKHan-kar bhi aisa waisa

ek thi jurat-e-inkar ki aisi waisi

ek darbar tha darbar bhi aisa waisa

jis ka shahon ki nazar mein koi kirdar na tha

ek kirdar tha kirdar bhi aisa waisa

ek israr tha israr bhi baiat ke liye

ek inkar tha inkar bhi aisa waisa

(1279) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sab Ka Dildar Hai Dildar Bhi Aisa Waisa In English By Famous Poet Javed Saba. Sab Ka Dildar Hai Dildar Bhi Aisa Waisa is written by Javed Saba. Read famous Poem Sab Ka Dildar Hai Dildar Bhi Aisa Waisa for youth and Student by Javed Saba. Free Download Sab Ka Dildar Hai Dildar Bhi Aisa Waisa in PDF.