Aankh Mein Kitne Tilismat-e-jahan Paoge

aankh mein kitne tilismat-e-jahan paoge

KHun rangin hai to sau rang yahan paoge

ho faraghat to zara jhaDu KHayalon ke shajar

shaKH-saron pe bahut barg-e-KHizan paoge

yun sambhaale na phiro dil mein shikasta shishe

kirchiyan bikhrin to rag rag mein rawan paoge

mauj-e-reg-e-daraKHshan ke taaqub mein raho

in sarabon hain mein pani ka nishan paoge

ye KHaraba hi sahi is se na bahar niklo

chhoD kar dil ko kahin phir na aman paoge

rishta-e-tar-e-nazar se hai ujalon ka bharam

aankh jhapki to koi aur saman paoge

sans uljhi hui aati hai to hai kis ki KHata

aag andar hai to andar hi dhuan paoge

kis qadar shor hai logon se bhari galiyon mein

ghaur se dekho bahut KHali makan paoge

dasht-e-dil hi se koi chashma nikalo 'shahin'

KHushk-sali mein yahan pani kahan paoge

(681) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aankh Mein Kitne Tilismat-e-jahan Paoge In English By Famous Poet Javed Shaheen. Aankh Mein Kitne Tilismat-e-jahan Paoge is written by Javed Shaheen. Read famous Poem Aankh Mein Kitne Tilismat-e-jahan Paoge for youth and Student by Javed Shaheen. Free Download Aankh Mein Kitne Tilismat-e-jahan Paoge in PDF.