Aashna Kitna Zaban Ko Be-zabani Se Kiya

aashna kitna zaban ko be-zabani se kiya

zindagi karne ko kya kuchh zindagani se kiya

mausam-e-gul mein kiya malbus banne ka amal

be-libasi ka amal barg-e-KHizani se kiya

kaun hai wo jis ne banjar KHushk KHitton ka ilaj

dekhte hi dekhte ek sada pani se kiya

subh ke jage masafat se thake dariya ne phir

sham hote hi talluq kam rawani se kiya

ye wahi tha kaise pahchana use muddat ke baad

main ye pal bhar mein usi ki ek nishani se kiya

rog thi 'shahin' zamin ki tangi-e-paiham mujhe

ye mudawa main ne bas naql-e-makani se kiya

(791) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aashna Kitna Zaban Ko Be-zabani Se Kiya In English By Famous Poet Javed Shaheen. Aashna Kitna Zaban Ko Be-zabani Se Kiya is written by Javed Shaheen. Read famous Poem Aashna Kitna Zaban Ko Be-zabani Se Kiya for youth and Student by Javed Shaheen. Free Download Aashna Kitna Zaban Ko Be-zabani Se Kiya in PDF.