Ab Yahan Logon Ke Dukh-sukh Ka Pata Kya Aae

ab yahan logon ke dukh-sukh ka pata kya aae

band hon ghar to makinon ki sada kya aae

Dubte din ki jilau mein na sukun hai na faragh

shafaq-e-sham se chehron pe ziya kya aae

sard sinon mein panapte hi nahin dard ke bij

in KHarabon pe barasne ko ghaTa kya aae

dur ho kaise tere jism teri jaan ki ghuTan

tang be-rauzan-o-dar ghar mein hawa kya aae

kho chuke lutf-e-sahar-KHezi garan KHwab-e-makin

subh-dam band darichon mein saba kya aae

KHushk patte hain ki jhaDte hi nahin peDon se

kaise tabdil ho rut rang naya kya aae

garm hangama kare kaun ragon mein 'shahin'

KHushk nadiyon mein koi mauj-e-bala kya aae

(906) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ab Yahan Logon Ke Dukh-sukh Ka Pata Kya Aae In English By Famous Poet Javed Shaheen. Ab Yahan Logon Ke Dukh-sukh Ka Pata Kya Aae is written by Javed Shaheen. Read famous Poem Ab Yahan Logon Ke Dukh-sukh Ka Pata Kya Aae for youth and Student by Javed Shaheen. Free Download Ab Yahan Logon Ke Dukh-sukh Ka Pata Kya Aae in PDF.