Beganagi Ke Baam Se Pal-bhar Utar Ke Dekh

beganagi ke baam se pal-bhar utar ke dekh

main kaun hun mujhe bhi zara aankh bhar ke dekh

kyun bad-guman hai KHalq-e-KHuda teri zat se

logon mein baiTh aur zara baat kar ke dekh

aisi kiran ki joD sake rishta-e-badan

in zulmaton mein fasle qalb-o-nazar ke dekh

dasht-e-bala mein kitne bagule hain ghat mein

main to guzar chuka zara tu bhi guzar ke dekh

eazaz-e-khusrawi se na meri wafa ko nap

fursat mile kabhi to mere zaKHm sar ke dekh

kis zahr ke asar se ulajhti hai meri sans

dam bhar dhuan dhuan si faza mein Thahar ke dekh

'shahin' wo ganw phir teri qismat mein ho na ho

behtar hai KHwab ujDe hue baam-o-dar ke dekh

(755) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Beganagi Ke Baam Se Pal-bhar Utar Ke Dekh In English By Famous Poet Javed Shaheen. Beganagi Ke Baam Se Pal-bhar Utar Ke Dekh is written by Javed Shaheen. Read famous Poem Beganagi Ke Baam Se Pal-bhar Utar Ke Dekh for youth and Student by Javed Shaheen. Free Download Beganagi Ke Baam Se Pal-bhar Utar Ke Dekh in PDF.