Dubne Wala Tha Din Sham Thi Hone Wali

Dubne wala tha din sham thi hone wali

yun laga meri koi chiz thi khone wali

subh ke sath hui KHatm meri raat ki gasht

rah gai ek gali shahr ke kone wali

kitna shaffaf chamakta hua din tha jis ki

dhup thi pyar ki barish mein bhigone wali

kisi na-dida ghaDi ke liye tayyar tha main

aisi chup thi ki koi baat thi hone wali

zindagi maili hui gard-e-mah-o-sal ke sath

ek jagah chhoD ke hai puri ye dhone wali

lakh banjar ho zamin phir bhi panap jaegi

aaKHiri shai jo mere pas hai bone wali

itni masruf hai hangama-e-be-masraf mein

subh se pahle nahin raat ye sone wali

zindagi aur hi hoti hai basar karne ko

teri meri hai faqat bojh ko Dhone wali

kis jagah hoga mujhe joDne wala lamha

wo ghaDi zat ke danon ko pirone wali

sara sabza tha kisi maKHmali bistar ki tarah

aur zamin ghas ke taKHte pe thi sone wali

yun to har baat yahan hoti rahegi lekin

teri KHwahish ke mutabiq nahin hone wali

baat is bar gharon tak nahin rahni 'shahin'

ab ke tughyani hai shahron ko Dubone wali

(819) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dubne Wala Tha Din Sham Thi Hone Wali In English By Famous Poet Javed Shaheen. Dubne Wala Tha Din Sham Thi Hone Wali is written by Javed Shaheen. Read famous Poem Dubne Wala Tha Din Sham Thi Hone Wali for youth and Student by Javed Shaheen. Free Download Dubne Wala Tha Din Sham Thi Hone Wali in PDF.