Dil-e-girafta Ke Sab Pech-o-tab Khol Ke Dekh

dil-e-girafta ke sab pech-o-tab khol ke dekh

hawa ka zor muhit-e-hubab khol ke dekh

mere lahu ko numaish-gah-e-wafa se uTha

hai jama o KHarch bahut ye hisab khol ke dekh

ye kis ke zulm se har shai hai misl-e-sang KHamosh

ai naqsh-gar dar-e-shahr-e-KHarab khol ke dekh

kahin to dasht mein Thahregi mauj-e-ab-e-gurez

rawan hua hai to raaz-e-sarab khol ke dekh

dhaDakte dil se na maujon ki razm-gah mein utar

KHat-e-safar ko kaf-e-dast-e-ab khol ke dekh

hain kab se tishna-e-mani mere huruf-e-badan

faragh ho to kabhi ye kitab khol ke dekh

zara suragh laga mere rang-e-KHasta ka

ghamon ki dhup mein band-e-naqab khol ke dekh

gulon ko kis liye Dasti hain chandni raaten

kahan hai zahr rag-e-mahtab khol ke dekh

maza to jab hai ki gulshan mein jashn-e-shoala ho

bhari bahaar mein dagh-e-gulab khol ke dekh

kanar-e-dasht-e-bala kaun hai makin 'shahin'

KHamosh suni haweli ka bab khol ke dekh

(693) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil-e-girafta Ke Sab Pech-o-tab Khol Ke Dekh In English By Famous Poet Javed Shaheen. Dil-e-girafta Ke Sab Pech-o-tab Khol Ke Dekh is written by Javed Shaheen. Read famous Poem Dil-e-girafta Ke Sab Pech-o-tab Khol Ke Dekh for youth and Student by Javed Shaheen. Free Download Dil-e-girafta Ke Sab Pech-o-tab Khol Ke Dekh in PDF.