Dil Mein Shafqat Na Rahe Aankh Ka Pani Na Rahe

dil mein shafqat na rahe aankh ka pani na rahe

ahd mein tere koi chiz purani na rahe

rasm-e-hijrat ko ba-andaz-e-digar zinda rakh

itne viran hon magar shauq-e-makani na rahe

silsila band ho yaron ki mulaqaton ka

subh rangin na rahe sham suhani na rahe

ho sake lauh-e-dil-o-jaan se miTa us ke nuqush

jaane wale ki yahan koi nishani na rahe

tu nadi nale ko har taur baham rakh pani

wo to chahega ki dariya mein rawani na rahe

baat jo dil mein hai khul kar use kah de 'shahin'

kya KHabar kal ko ye aashufta-bayani na rahe

(679) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Mein Shafqat Na Rahe Aankh Ka Pani Na Rahe In English By Famous Poet Javed Shaheen. Dil Mein Shafqat Na Rahe Aankh Ka Pani Na Rahe is written by Javed Shaheen. Read famous Poem Dil Mein Shafqat Na Rahe Aankh Ka Pani Na Rahe for youth and Student by Javed Shaheen. Free Download Dil Mein Shafqat Na Rahe Aankh Ka Pani Na Rahe in PDF.