DhunD Rakkhi Hai Meri Wahshat Ne Aasani Meri

DhunD rakkhi hai meri wahshat ne aasani meri

ghar ki haalat hi mein rakh di hai bayabani meri

nam hi ko bas paDega bojh teri jeb par

dekhne ki hai sar-e-bazar arzani meri

hosh hai bas is qadar nairangi-e-haalat mein

do qadam rahti hai aage mujh se hairani meri

husn-e-be-parwa ko KHud se thoDa ghafil dekh kar

mujh ko kya kuchh is ka dikhlati hai uryani meri

wo ajab ek shahr tha jis mein kaTe yun mah o sal

din se main waqif nahin tha shab thi anjaani meri

hai koi jo rakh raha hai roz o shab ka sab hisab

hoti rahti hai kahin par saKHt nigrani meri

har tarah ke mausamon mein mera rakhta hai KHayal

hai koi jo karta rahta hai nigahbani meri

aaj bhi kaj hai usi dhaj se phaTi si ek kulah

tang karti hai abhi tak KHu-e-sultani meri

kis jagah hai wo bacha rakkha hai jis ke waste

ek sajda jo liye phirti hai peshani meri

KHud bana leta hun main apni udasi ka sabab

DhunD hi leti hai 'shahin' mujh ko virani meri

(691) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

DhunD Rakkhi Hai Meri Wahshat Ne Aasani Meri In English By Famous Poet Javed Shaheen. DhunD Rakkhi Hai Meri Wahshat Ne Aasani Meri is written by Javed Shaheen. Read famous Poem DhunD Rakkhi Hai Meri Wahshat Ne Aasani Meri for youth and Student by Javed Shaheen. Free Download DhunD Rakkhi Hai Meri Wahshat Ne Aasani Meri in PDF.