Dhul Se Jab Main AT Jata Hun

dhul se jab main aT jata hun

rah se thoDa haT jata hun

waqt ki dhaar hai mere sar par

roz zara sa kaT jata hun

hun koi malbus purana

jagah jagah se phaT jata hun

jis ke liye hun jitna zaruri

waise hi main baT jata hun

hath mein hai ye kis ke taraazu

taul mein roz hi ghaT jata hun

halka sa ek abr-e-rawan hun

dhup mein jaldi chhaT jata hun

patta bhi hil jae kahen to

Dar se KHud main simaT jata hun

bahas ghalat hone par 'shahin'

aap hi pichhe haT jata hun

(613) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Dhul Se Jab Main AT Jata Hun In English By Famous Poet Javed Shaheen. Dhul Se Jab Main AT Jata Hun is written by Javed Shaheen. Read famous Poem Dhul Se Jab Main AT Jata Hun for youth and Student by Javed Shaheen. Free Download Dhul Se Jab Main AT Jata Hun in PDF.