Daman-e-shab Mein Chand Ka Manzar Bhi Dekh Le

daman-e-shab mein chand ka manzar bhi dekh le

sone se pahle kamre se bahar bhi dekh le

in mausamon ki rah mein yun be-KHabar na baiTh

rahta hai kaun kaun safar par bhi dekh le

gum-sum rakhegi tujh ko kahan tak wo ek yaad

munh se haTa ke maili si chadar bhi dekh le

dhundla rahi hai der se sham-e-badan ki lau

koi ghubar sans ke andar bhi dekh le

aabaad zer-e-ab hain Dube hue nagar

yaadon ke paniyon mein utar kar bhi dekh le

fursat mile to khol chhupe KHwahishon ke raaz

gunjaan jangalon se guzar kar bhi dekh le

'shahin' badan bhi zer kiya jaan bhi zer kar

dasht-e-bala se aage samundar bhi dekh le

(793) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Daman-e-shab Mein Chand Ka Manzar Bhi Dekh Le In English By Famous Poet Javed Shaheen. Daman-e-shab Mein Chand Ka Manzar Bhi Dekh Le is written by Javed Shaheen. Read famous Poem Daman-e-shab Mein Chand Ka Manzar Bhi Dekh Le for youth and Student by Javed Shaheen. Free Download Daman-e-shab Mein Chand Ka Manzar Bhi Dekh Le in PDF.