Hunar Ki Kar-gah Se Shai Ajab Nikal Aae

hunar ki kar-gah se shai ajab nikal aae

main din banata rahun aur wo shab nikal aae

dalil apni jagah par ye ain-mumkin hai

ki be-sabab ka bhi koi sabab nikal aae

koi sitara tha hairat bhara nazara tha

gharon mein soe hue log sab nikal aae

nikalna hai isi shab mah-e-wasl ne lekin

yaqin se kah nahin sakta ki kab nikal aae

main dekhne mein bahut mahw tha teri taswir

ki chumne ko mujhe tere lab nikal aae

ai be-niyaz jahan kuchh to ghaur kar shayad

kahin dabi hui koi talab nikal aae

buri tarah se hain din dhund ki hirasat mein

kisi taraf se zara dhup ab nikal aae

maza to jab hai udasi ki sham ho 'shahin'

aur us ke bich se sham-e-tarab nikal aae

(617) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hunar Ki Kar-gah Se Shai Ajab Nikal Aae In English By Famous Poet Javed Shaheen. Hunar Ki Kar-gah Se Shai Ajab Nikal Aae is written by Javed Shaheen. Read famous Poem Hunar Ki Kar-gah Se Shai Ajab Nikal Aae for youth and Student by Javed Shaheen. Free Download Hunar Ki Kar-gah Se Shai Ajab Nikal Aae in PDF.