Is Tarah Karte Hain Kuchh Log BaDai Uski

is tarah karte hain kuchh log baDai us ki

KHalq us ki hai KHuda us ka KHudai us ki

kya KHabar thi ki yahin wasl ke sae ke qarib

dhup ke beach paDi hogi judai us ki

le gae shauq se marhum ki har shai ahbab

chhoD di taq ke upar hi achchhai us ki

ki hai iflas mein doshiza-e-ummid jawan

ab to bas baiTh ke khani hai kamai us ki

zindagi kaTti hai donon ki musalsal zid mein

qaid hai meri wahi jo hai rihai us ki

mo'atabar nam tha wo phir bhi hawala na diya

jaan bachane ko qasam jhuTi na khai us ki

zindagi sari ganwa dun ye zaruri to nahin

ye bahut hai ki koi baat nibhai us ki

ye mohabbat nahin kuchh aur hai surat 'shahin'

tum maza le ke jo sunte ho burai us ki

(733) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Is Tarah Karte Hain Kuchh Log BaDai Uski In English By Famous Poet Javed Shaheen. Is Tarah Karte Hain Kuchh Log BaDai Uski is written by Javed Shaheen. Read famous Poem Is Tarah Karte Hain Kuchh Log BaDai Uski for youth and Student by Javed Shaheen. Free Download Is Tarah Karte Hain Kuchh Log BaDai Uski in PDF.