Jo Barf-zar Chir De Aisi Kiran Bhi La

jo barf-zar chir de aisi kiran bhi la

patthar dilon mein aaj koi kohkan bhi la

is tarah sarsari mera bab-e-wafa na likh

waqt-e-shumar zaKHm mera KHasta-tan bhi la

munsif agar bana hai to sab ko gawara rakh

insaf hai to mera phaTa pairahan bhi la

jalne lage hain pyas se phulon ke KHushk honT

abr-e-bahaar ko zara su-e-chaman bhi la

chup-chap KHalwaton mein pighalne se faeda

koi charagh hai to sar-e-anjuman bhi la

itna wo shadman mujhe achchha nahin laga

is gul ke dil mein dagh ki thoDi jalan bhi la

zaKHm-e-safar ke dard-e-musalsal ka sehr toD

nikla hua watan se gharib-ul-watan bhi la

ye chashm-e-iltifat hi kafi nahin mujhe

mere liye to narmi-e-kaam-o-dahan bhi la

'shahin' se aziz hai apna lahu to kya

nash-e-shahid ke liye KHunin kafan bhi la

(847) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jo Barf-zar Chir De Aisi Kiran Bhi La In English By Famous Poet Javed Shaheen. Jo Barf-zar Chir De Aisi Kiran Bhi La is written by Javed Shaheen. Read famous Poem Jo Barf-zar Chir De Aisi Kiran Bhi La for youth and Student by Javed Shaheen. Free Download Jo Barf-zar Chir De Aisi Kiran Bhi La in PDF.