Juda Thi Baam Se Diwar Dar Akela Tha

juda thi baam se diwar dar akela tha

makin the KHud mein magan aur ghar akela tha

thi aarzu ki rahun jabr se mahaz-ara

main Dar gaya ki ye lamba safar akela tha

nigah-e-ghair jise mo'tabar bahut Thahri

use main kaise dikhata nagar akela tha

kahan talak main shujaat ki dad deta yahan

ki us ki sari sipah main idhar akela tha

bahut maze mein rahe sar-nigun KHajil paude

hawa-e-tez ki zad mein shajar akela tha

abas sharik tha be-waqt razm mein 'shahin'

dayar-e-ghair mein wo be-KHabar akela tha

(764) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Juda Thi Baam Se Diwar Dar Akela Tha In English By Famous Poet Javed Shaheen. Juda Thi Baam Se Diwar Dar Akela Tha is written by Javed Shaheen. Read famous Poem Juda Thi Baam Se Diwar Dar Akela Tha for youth and Student by Javed Shaheen. Free Download Juda Thi Baam Se Diwar Dar Akela Tha in PDF.