Kahin Gireban Koi Chaak Hone Wala Hai

kahin gireban koi chaak hone wala hai

ye hadsa sar-e-aflak hone wala hai

pahunch raha hun kisi bhed ke bahut nazdik

ki jaise apna hi idrak hone wala hai

utarne wali hai ab os din ke jaane par

andhera sham ka namnak hone wala hai

hai sard itna makan ab ki bar jaDe mein

badan bhi aag ka KHashak hone wala hai

kuchh aa raha hai asar mai ka us ki baaton mein

ye lag raha hai wo be-bak hone wala hai

ba-ghaur dekh raha hun main us ka tarz-e-amal

wo kar-e-ishq mein chaalak hone wala hai

main aap apni KHarabi ka hun sabab 'shahin'

jo KHud banaya tha ab KHak hone wala hai

(775) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kahin Gireban Koi Chaak Hone Wala Hai In English By Famous Poet Javed Shaheen. Kahin Gireban Koi Chaak Hone Wala Hai is written by Javed Shaheen. Read famous Poem Kahin Gireban Koi Chaak Hone Wala Hai for youth and Student by Javed Shaheen. Free Download Kahin Gireban Koi Chaak Hone Wala Hai in PDF.