Kis Tarah Be-mauj Aur Khaali Rawani Se Hua

kis tarah be-mauj aur KHali rawani se hua

be-KHabar dariya kahan par apne pani se hua

baDh rahi thi ek basti se meri beganagi

masala mera na hal naql-e-makani se hua

apne hone ka mujhe KHud hi diya us ne subut

aashna us se usi ki ek nishani se hua

kah raha tha wo ki kaise kaT rahe the us ke din

main girafta-dil bahut us ki kahani se hua

ek jagah ki saf aur taza hawa achchhi lagi

kuchh ilaj-e-dil wahan ke sada pani se hua

kis qadar gham-KHwar tha wo shahr aur hamdard log

is ka kuchh andaza apni raegani se hua

rut badal jaane se pila paD gaya farsh-e-chaman

zard peDon ka badan barg-e-KHizani se hua

kar raha hun main zaban ko ek banawaT se riha

lafz zinda phir meri sada-bayani se hua

mere us ke darmiyan jaise kabhi kuchh bhi na tha

aisa 'shahin' bas zara si bad-gumani se hua

(730) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kis Tarah Be-mauj Aur Khaali Rawani Se Hua In English By Famous Poet Javed Shaheen. Kis Tarah Be-mauj Aur Khaali Rawani Se Hua is written by Javed Shaheen. Read famous Poem Kis Tarah Be-mauj Aur Khaali Rawani Se Hua for youth and Student by Javed Shaheen. Free Download Kis Tarah Be-mauj Aur Khaali Rawani Se Hua in PDF.