KHatra Sa Kahin Meri Ikai Ke Liye Hai

KHatra sa kahin meri ikai ke liye hai

har lamha yahan KHud se judai ke liye hai

ek hath ko kuchh karne ki aadat nahin Dali

jo dusra hai sirf gadai ke liye hai

har shaKHs ki hai sham se apni koi nisbat

mere liye to din se rihai ke liye hai

din sara guzar jata hai ek duri mein KHud se

aur sham kisi aur judai ke liye hai

mauqa hai ki ehsan koi us ka chuka dun

ek lamha mere pas burai ke liye hai

hai kaun jhaTak de jo kisi dast-e-jafa ko

ye KHalq-e-KHuda sirf duhai ke liye hai

ab KHun ko banana hai tere honT ki surKHi

bach jaega jo dast-e-hinai ke liye hai

tohmat si koi KHud pe laga rakkhi hai 'shahin'

ek dagh sa angusht-numai ke liye hai

(756) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHatra Sa Kahin Meri Ikai Ke Liye Hai In English By Famous Poet Javed Shaheen. KHatra Sa Kahin Meri Ikai Ke Liye Hai is written by Javed Shaheen. Read famous Poem KHatra Sa Kahin Meri Ikai Ke Liye Hai for youth and Student by Javed Shaheen. Free Download KHatra Sa Kahin Meri Ikai Ke Liye Hai in PDF.