KHas-e-badan Mein Ba-rang-e-sharar Aae Koi

KHas-e-badan mein ba-rang-e-sharar aae koi

chamak uThun main gham-e-ab-dar aae koi

meri nazar mein chamakte hain garm-o-sard jahan

main jaanch lunga zar-e-kam-ayar aae koi

hai zaKHm zaKHm badan sang-e-harf-e-talKH se aaj

kahin se narmi-e-lab ki phuwar aae koi

main jal gaya dil-e-viran ki KHushk wadi mein

faraaz-e-dard se phir aabshaar aae koi

ye dasht-e-tishna-labi chhoD kar main kyun jaun

mere liye to yahin ju-e-bar aae koi

hai zoam-e-shoala to dekhe hawa-e-dard ka zor

charagh hai to sar-e-rahguzar aae koi

ek aur bhi hai jahan is jahan-e-jabr se dur

majal hai to wahan shahryar aae koi

ghanim-e-shab ko main zaKHmon se chur kar aaya

sahar ka aaKHiri neza bhi mar aae koi

Thahar gae hain kahan mere ham-safar 'shahin'

khaDa hun der se jangal ke par aae koi

(738) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHas-e-badan Mein Ba-rang-e-sharar Aae Koi In English By Famous Poet Javed Shaheen. KHas-e-badan Mein Ba-rang-e-sharar Aae Koi is written by Javed Shaheen. Read famous Poem KHas-e-badan Mein Ba-rang-e-sharar Aae Koi for youth and Student by Javed Shaheen. Free Download KHas-e-badan Mein Ba-rang-e-sharar Aae Koi in PDF.