Kashakash-e-gham-e-hasti Mein Koi Kya Sunta

kashakash-e-gham-e-hasti mein koi kya sunta

hamin tak aa na saki dil ke TuTne ki sada

har ek phul ke chehre pe gard jamne lagi

kahin se aaj ai abr-e-bahaar jhum ke aa

chale the jis ke bharose pe rah-rawan-e-bahaar

wo mahtab sar-e-dasht pichhli shab nikla

kahin sada-e-jaras hai na gard-e-rah-e-safar

Thahar gaya hai kahan qafila tamanna ka

hujum-e-lala-o-gul raste se haT jae

talash-e-KHar mein nikla hai koi aabla-pa

guzar ke aaya hun un saKHt manzilon se jahan

tumhaari yaad ka saya bhi aas-pas na tha

kahin se koi pukare ki aaj phir 'shahin'

dilon ko Dasne laga hai dilon ka sannaTa

(705) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kashakash-e-gham-e-hasti Mein Koi Kya Sunta In English By Famous Poet Javed Shaheen. Kashakash-e-gham-e-hasti Mein Koi Kya Sunta is written by Javed Shaheen. Read famous Poem Kashakash-e-gham-e-hasti Mein Koi Kya Sunta for youth and Student by Javed Shaheen. Free Download Kashakash-e-gham-e-hasti Mein Koi Kya Sunta in PDF.