Mauja-e-dard Se Jismon Mein Rawani De Ja

mauja-e-dard se jismon mein rawani de ja

KHushk dariyaon nadi nalon ko pani de ja

kuchh to samjha de tilismat-e-shab-o-roz mujhe

in hisaron mein koi bab-e-maani de ja

zulmat-e-habs dil-o-jaan mein jala shama hua

tu kahin hai to mujhe apni nishani de ja

main subuk-sair sahi mujh ko tu pur-KHas na bana

in hawaon mein mujhe thoDi girani de ja

na-mukammal hai koi bab-e-chaman jin ke baghair

qissa-e-gul ke wo auraq-e-KHizani de ja

kab se be-ab hain aaine meri aankhon ke

un nae chehron mein kuchh shaklen purani de ja

aag barsate hue din ki haden bandh kabhi

garm shamon mein koi sham suhani de ja

har ghaDi dil se gurezan hain umiden 'shahin'

in makinon ko zara shauq-e-makani de ja

(661) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mauja-e-dard Se Jismon Mein Rawani De Ja In English By Famous Poet Javed Shaheen. Mauja-e-dard Se Jismon Mein Rawani De Ja is written by Javed Shaheen. Read famous Poem Mauja-e-dard Se Jismon Mein Rawani De Ja for youth and Student by Javed Shaheen. Free Download Mauja-e-dard Se Jismon Mein Rawani De Ja in PDF.