Mere Besh-o-kam Ke Pichhe Tera Hath Hai Ziyaada
mere besh-o-kam ke pichhe tera hath hai ziyaada
mera din banane wale meri raat hai ziyaada
yahan ek had se aage kisi zoam mein na rahna
tujhe chhoD jaane wala tere sath hai ziyaada
jo sirhane rakkhe rakkhe shab-e-gham mein so gaya hai
mera kaam karne wala wahi hath hai ziyaada
wo jo asl waqia hai use khol kar bayan kar
tu jo kah raha hai us se zara baat hai ziyaada
meri aas ke ufuq se mujhe lag rahi hai chhoTi
kisi dusri taraf se yahi raat hai ziyaada
hui mujh se ek KHayanat kahin kuchh sameTne mein
mere aage ek jagah par meri zat hai ziyaada
hai shikast o fath 'shahin' yahan zindagi ka hissa
mujhe dukh bahut hai jis ka koi mat hai ziyaada
(846) Peoples Rate This