Meri Kar-gahh-e-dil Mein Abhi Kaam Hai Zyaada

meri kar-gahh-e-dil mein abhi kaam hai zyaada

koi chiz ek jagah se zara KHam hai zyaada

kisi manzar-e-shafaq ko kahan aankh mein jagah dun

mere KHun-e-dil se rangin meri sham hai zyaada

ghaDi-bhar Thaharne wale zara ye KHayal rakhna

ye jo saya-e-shajar hai koi dam hai zyaada

mera mashwara yahi hai isi raste se jaana

baDa saf hai agarche kai gam hai zyaada

paDe hain bahut se mere abhi kaam na-mukammal

koi bojh jate din par sar-e-sham hai zyaada

koi jurm dusre ka mera ban gaya hai kaise

teri fard-e-jurm mein kyun mera nam hai zyaada

kabhi kucha-e-talab mein kabhi rah-e-zar-gari par

tera kar-e-husn ab kuchh sar-e-am hai zyaada

teri aankh mein jo 'shahin' labaalab bhara hua hai

kisi ek taraf se KHali wahin jam hai zyaada

(683) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Meri Kar-gahh-e-dil Mein Abhi Kaam Hai Zyaada In English By Famous Poet Javed Shaheen. Meri Kar-gahh-e-dil Mein Abhi Kaam Hai Zyaada is written by Javed Shaheen. Read famous Poem Meri Kar-gahh-e-dil Mein Abhi Kaam Hai Zyaada for youth and Student by Javed Shaheen. Free Download Meri Kar-gahh-e-dil Mein Abhi Kaam Hai Zyaada in PDF.