Safar Ka KHwab Tha Aab-e-rawan Pe Rakkha Tha

safar ka KHwab tha aab-e-rawan pe rakkha tha

koi sitara khule baadban pe rakkha tha

bhula gaya hai mujhe guftugu ke sare maze

bas ek lafz tha pal bhar zaban pe rakkha tha

wo ek KHak sa manzar bas ab bahut hai mujhe

uTha ke jo kabhi qirtas-e-jaan pe rakkha tha

main kya gaya ki hua KHushk chashma-e-mahtab

abhi to pahla qadam aasman pe rakkha tha

usi ko 'shahin' muqarrar kiya hai ja-e-visal

kanara-e-shab-e-hijran jahan pe rakkha tha

(666) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Safar Ka KHwab Tha Aab-e-rawan Pe Rakkha Tha In English By Famous Poet Javed Shaheen. Safar Ka KHwab Tha Aab-e-rawan Pe Rakkha Tha is written by Javed Shaheen. Read famous Poem Safar Ka KHwab Tha Aab-e-rawan Pe Rakkha Tha for youth and Student by Javed Shaheen. Free Download Safar Ka KHwab Tha Aab-e-rawan Pe Rakkha Tha in PDF.