Uske Liye Aanhken Dar-e-be-KHwab Mein Rakh Dun

us ke liye aanhken dar-e-be-KHwab mein rakh dun

phir shab ko jala kar unhen mehrab mein rakh dun

surat hai yahi ab to guzarna hai yunhi waqt

jis baat ko dil chahe use KHwab mein rakh dun

phirte hain sada jis mein samundar bhi zamin bhi

ye pura falak bhi usi girdab mein rakh dun

ye sare sitare kisi dariya mein baha dun

bas chand pakaD kar kisi talab mein rakh dun

kapDe jo mujhe tang hon pahna dun KHala ko

aur KHwab purane kahin mahtab mein rakh dun

itna bhi na aasan ho yahan pyas bujhana

bahta hua dhoka sa kahin aab mein rakh dun

sab kuchh hi ganwa dene se behtar hai ki 'shahin'

KHashak-e-dil-o-jaan rah-e-sailab mein rakh dun

(871) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Uske Liye Aanhken Dar-e-be-KHwab Mein Rakh Dun In English By Famous Poet Javed Shaheen. Uske Liye Aanhken Dar-e-be-KHwab Mein Rakh Dun is written by Javed Shaheen. Read famous Poem Uske Liye Aanhken Dar-e-be-KHwab Mein Rakh Dun for youth and Student by Javed Shaheen. Free Download Uske Liye Aanhken Dar-e-be-KHwab Mein Rakh Dun in PDF.