Tayyar Bahut Mauj Rawani Ke Liye Hai

tayyar bahut mauj rawani ke liye hai

lekin koi mushkil kahin pani ke liye hai

logon ne agar mujh pe yahan tang zamin ki

ek aur jagah naql-e-makani ke liye hai

is bab-e-jahan mein ye tera harf-e-shab-o-roz

mohtaj bahut apne maani ke liye hai

jis shahr ka ifraat-e-mohabbat mein tha shohra

mashhur ab us shai ki girani ke liye hai

sunte hue sone pe jo aaega zamana

ek moD mere pas kahani ke liye hai

jalte hue dekha hai kahin sham-e-hawa ko

kafi ye mujhe us ki nishani ke liye hai

jaana hai kahan us ne kisi shaKH se jhaD kar

aawargi hi barg-e-KHizani ke liye hai

begar bana Dala hai ek yaad ko tu ne

ye kaam kisi sham suhani ke liye hai

ye khoj jo har dar pe liye phirti hai 'shahin'

ek ghar mein kisi shakl purani ke liye hai

(653) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tayyar Bahut Mauj Rawani Ke Liye Hai In English By Famous Poet Javed Shaheen. Tayyar Bahut Mauj Rawani Ke Liye Hai is written by Javed Shaheen. Read famous Poem Tayyar Bahut Mauj Rawani Ke Liye Hai for youth and Student by Javed Shaheen. Free Download Tayyar Bahut Mauj Rawani Ke Liye Hai in PDF.