ZaKHm Koi Ek BaDi Mushkil Se Bhar Jaane Ke Baad

zaKHm koi ek baDi mushkil se bhar jaane ke baad

mil gaya wo phir kahin dil ke Thahar jaane ke baad

main ne wo lamha pakaDne mein kahan taKHir ki

sochta rahta hun ab us ke guzar jaane ke baad

kaisa aur kab se talluq tha hamara kya kahun

kuchh nahin kahne ko ab us ke mukar jaane ke baad

mil raha hai subh ke tare se jata mahtab

raat ke tarik zine se utar jaane ke baad

kya karun aaKHir chalana hai mujhe kar-e-jahan

jama KHud ko kar hi leta hun bikhar jaane ke baad

zaKHm ek aisa hai jis par kaam ab karta nahin

waqt ka marham zara sa kaam kar jaane ke baad

chup hain yun chizen ki khul kar sans bhi leti nahin

jaise ek sadme ki haalat mein hun Dar jaane ke baad

hain nawah-e-dil mein 'shahin' kuchh nashebi bastiyan

Dubta rahta hun un mein pani bhar jaane ke baad

(753) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

ZaKHm Koi Ek BaDi Mushkil Se Bhar Jaane Ke Baad In English By Famous Poet Javed Shaheen. ZaKHm Koi Ek BaDi Mushkil Se Bhar Jaane Ke Baad is written by Javed Shaheen. Read famous Poem ZaKHm Koi Ek BaDi Mushkil Se Bhar Jaane Ke Baad for youth and Student by Javed Shaheen. Free Download ZaKHm Koi Ek BaDi Mushkil Se Bhar Jaane Ke Baad in PDF.