ZaKHm Khane Se Ya Koi Dhoka Khane Se Hua

zaKHm khane se ya koi dhoka khane se hua

baat kya thi main KHafa jis par zamane se hua

ek pal mein ek jagah se itna raushan aasman

koi tara bante bante TuT jaane se hua

sochta rahta hun main aksar ki aaghaz-e-jahan

din banane se ki pahle shab banane se hua

main ghalat ya tum ghalat the chhoDo ab is baat ko

hona tha jo kuchh wo jaise ek bahane se hua

kuchh zamane ki rawish ne saKHt mujh ko kar diya

aur kuchh bedard main us ko bhulane se hua

baat sari asl mein ye thi main us se bad-guman

ek talluq mein kahin pe shak ke aane se hua

bach hi nikla hun main jaDe ki baDi yalghaar se

garm ab ke ghar badan ka KHas jalane se hua

kya kahun meri giraftari ka koi ehtimam

kaise zer-e-dam rakkhe ek dane se hua

umr bhar ka ye jo hai 'shahin' KHasara ye mujhe

ek saude mein koi neki kamane se hua

(825) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

ZaKHm Khane Se Ya Koi Dhoka Khane Se Hua In English By Famous Poet Javed Shaheen. ZaKHm Khane Se Ya Koi Dhoka Khane Se Hua is written by Javed Shaheen. Read famous Poem ZaKHm Khane Se Ya Koi Dhoka Khane Se Hua for youth and Student by Javed Shaheen. Free Download ZaKHm Khane Se Ya Koi Dhoka Khane Se Hua in PDF.