Ye Jo Tanhai Mili Aankh Mein Dharne Ke Liye

ye jo tanhai mili aankh mein dharne ke liye

is mein ek dasht bhi hai mere guzarne ke liye

jama karti hai mujhe raat bahut mushkil se

subh ko ghar se nikalte hi bikharne ke liye

panw se lipTi mili sari ki sari ye zamin

ye falak pura mila aankh mein dharne ke liye

aur phir karna paDa gosht ko naKHun se juda

ye zaruri tha kisi zaKHm ko bharne ke liye

thi wo ek tez hawa uncha mujhe le aai

ab zamin tang si lagti hai utarne ke liye

baat kaisi bhi ho pal bhar ki nadamat ke siwa

KHarch aata hai bhala kitna mukarne ke liye

aur phir aisa hua samne mere 'shahin'

jhuT ke panw nikal aae Thaharne ke liye

(739) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Jo Tanhai Mili Aankh Mein Dharne Ke Liye In English By Famous Poet Javed Shaheen. Ye Jo Tanhai Mili Aankh Mein Dharne Ke Liye is written by Javed Shaheen. Read famous Poem Ye Jo Tanhai Mili Aankh Mein Dharne Ke Liye for youth and Student by Javed Shaheen. Free Download Ye Jo Tanhai Mili Aankh Mein Dharne Ke Liye in PDF.