Maut Ki Nasihat

maut ne us ki aankhon mein aankhen Dalin

to use badan ka bosida libas hath mein thame

be-KHauf-o-KHatar

apne istiqbaal ke liye khaDa paya

wo sahm gai

us ki haibat mand paD gai

wo us ke qatilon ke pas gai

aur jo kuchh dekha tha unhen bata diya

wo samjhe ki maut un ke sath kisi sazish mein sharik ho gai thi

un ki tasalli ke liye

wo us ka bosida libas le aai

magar jate waqt nasihat kar gai

ki ise sambhaal kar rakhen

us din ke liye

jab mulk mein kapDe ka qaht paDega

aur un ke nange badan Dhanpne ke liye

kisi ke pas koi kapDa na hoga

us ek libas ke siwa

(1381) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Maut Ki Nasihat In English By Famous Poet Javed Shaheen. Maut Ki Nasihat is written by Javed Shaheen. Read famous Poem Maut Ki Nasihat for youth and Student by Javed Shaheen. Free Download Maut Ki Nasihat in PDF.