Maut Mujh Par Bar-haq Nahin
main marne ke liye paida nahin hua
mujh par kisi qism ka hamla
us muahide ki KHilaf-warzi hogi
jis par ek ghaibi hath aur main ne
dastaKHat kiye the
aur jis ki ru se
maut mujh par bar-haq nahin Thahri thi
zinda rahna ab mera dard-e-sar nahin
main ye fariza
tariKH ko saunp chuka hun
tariKH jo meri ragon mein
zahr ki surat daKHil hui
aur ab amrit ban kar
mere masamon se
qatra qatra Tapak rahi hai
maut se meri koi shanasai nahin
main us se darKHwast karunga
wo mere KHilaf
kisi sazish mein sharik na ho
ki mere pas
muahide ki jo naql mahfuz hai
us par us ke dastaKHat
ba-taur-e-gawah maujud hain
(1061) Peoples Rate This