Aagahi Sud-o-ziyan Ki Koi Mushkil Bhi Nahin

aagahi sud-o-ziyan ki koi mushkil bhi nahin

hasil-e-umr magar umr ka hasil bhi nahin

aankh uThao to hijabaat ka ek aalam hai

dil se dekho to koi rah mein hail bhi nahin

dil to kya jaan se bhi inkar nahin hai lekin

dil hai badnam bahut phir tere qabil bhi nahin

uljhanen lakh sahi zist mein lekin yaro

raunaq-e-bazm-e-jahan nazr-e-masail bhi nahin

tere diwane KHuda jaane kahan ja nikle

der se dasht mein aawaz-e-salasil bhi nahin

dard ki aanch bana deti hai dil ko iksir

dard se dil hai agar dard nahin dil bhi nahin

ghaur se dekho to ye zist hai zaKHmon ka chaman

aur 'jawed' ba-zahir koi ghail bhi nahin

(653) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aagahi Sud-o-ziyan Ki Koi Mushkil Bhi Nahin In English By Famous Poet Javed Vashisht. Aagahi Sud-o-ziyan Ki Koi Mushkil Bhi Nahin is written by Javed Vashisht. Read famous Poem Aagahi Sud-o-ziyan Ki Koi Mushkil Bhi Nahin for youth and Student by Javed Vashisht. Free Download Aagahi Sud-o-ziyan Ki Koi Mushkil Bhi Nahin in PDF.