Aish-e-rafta Ne Bahut KHun Rulaya Hai Mujhe

aish-e-rafta ne bahut KHun rulaya hai mujhe

phul ki sej ne kanTon pe sulaya hai mujhe

de ke ek shoala-e-guftar jagaya hai mujhe

ahd-e-KHwabida ne be-dard banaya hai mujhe

zard-ru KHar bhi hai aashiq-e-salma-e-bahaar

shoKH kaliyon ne ishaaron mein bataya hai mujhe

TuTta hi nahin rangini-e-KHwahish ka tilism

ism-e-azam ka amal bhi to sikhaya hai mujhe

KHun-e-mazlum akarat to nahin ja sakta

zaKHm-e-gul-rez ne phulon se sajaya hai mujhe

shayad is daur ka shiw-ji hi samajh kar 'jawed'

waqt ne zist ka sab zahr pilaya hai mujhe

(728) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aish-e-rafta Ne Bahut KHun Rulaya Hai Mujhe In English By Famous Poet Javed Vashisht. Aish-e-rafta Ne Bahut KHun Rulaya Hai Mujhe is written by Javed Vashisht. Read famous Poem Aish-e-rafta Ne Bahut KHun Rulaya Hai Mujhe for youth and Student by Javed Vashisht. Free Download Aish-e-rafta Ne Bahut KHun Rulaya Hai Mujhe in PDF.