Masih-e-waqt Bhi Dekhe Hai Dida-e-nam Se

masih-e-waqt bhi dekhe hai dida-e-nam se

ye kaisa zaKHm hai yaro KHafa hai marham se

koi KHayal koi yaad koi to ehsas

mila de aaj zara aa ke hum ko KHud hum se

hamara jam-e-sifalin hi phir ghanimat tha

mili sharab bhala kis ko saghar-e-jam se

hawa bhi tez hai yurish bhi hai andheron ki

jalae mishalen baiThe hain log barham se

ghamon ki aanch mein tap kar hi fan nikharta hai

ye shama jalti hai 'jawed' chashm-e-pur-nam se

(738) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Masih-e-waqt Bhi Dekhe Hai Dida-e-nam Se In English By Famous Poet Javed Vashisht. Masih-e-waqt Bhi Dekhe Hai Dida-e-nam Se is written by Javed Vashisht. Read famous Poem Masih-e-waqt Bhi Dekhe Hai Dida-e-nam Se for youth and Student by Javed Vashisht. Free Download Masih-e-waqt Bhi Dekhe Hai Dida-e-nam Se in PDF.