Tishna-lab Kahte Rahe Sunti Rahi Pyasi Raat

tishna-lab kahte rahe sunti rahi pyasi raat

subah tak chalti rahi durd-e-tah-e-jam ki baat

ye hawas-pesha hawas-kar hawas-KHu duniya

KHub hai jis mein bhaTakti hai guzargah-e-najat

paDte hi dil pe kisi shoKH nazar ka partaw

jagmagane lagi dhaDkan to saje mahsusat

jagmagati hai kiran dard ki dhaDkan dhaDkan

aap ko pesh karun pyar ki rangin saughat

ek masiha ki nishani hai ye hansta hua zaKHm

hum ko darkar nahin marham-o-darman-e-hayat

waqt zalim hai miTa deta hai shaddadon ko

aap ka zulm hai kya aap ki kya hai auqat

jam-o-aina yahi dil tha kisi din 'jawed'

us ne toDa hai jise sang-dili se haihat

(851) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tishna-lab Kahte Rahe Sunti Rahi Pyasi Raat In English By Famous Poet Javed Vashisht. Tishna-lab Kahte Rahe Sunti Rahi Pyasi Raat is written by Javed Vashisht. Read famous Poem Tishna-lab Kahte Rahe Sunti Rahi Pyasi Raat for youth and Student by Javed Vashisht. Free Download Tishna-lab Kahte Rahe Sunti Rahi Pyasi Raat in PDF.