Wo Jo Dagh-e-ishq Tha KHush-numa Jo Amanat-e-dil-e-zar Tha

wo jo dagh-e-ishq tha KHush-numa jo amanat-e-dil-e-zar tha

sar-e-bazm tha to charagh tha sar-e-rah tha to ghubar tha

use main hi jaanun hun doston kisu waqt apna bhi yar tha

kabhu mom tha kabhu sang tha kabhu phul tha kabhu KHar tha

teri yaad hai ki bujhi bujhi tera zikr hai ki ruka ruka

teri yaad se to sukun tha tere zikr se to qarar tha

ye to waqt waqt ki baat hai hamein un se koi gila nahin

wo hon aaj hum se KHafa KHafa kabhu hum se un ko bhi pyar tha

wo nagar to kab ka ujaD gaya hum usi nagar se to aae hain

kahin maqbara tha KHulus ka to kahin wafa ka mazar tha

jise shauq tha teri did ka jise pyas thi tere pyar ki

jo teri gali mein muqim tha wahi ajnabi sar-e-dar tha

tere dil se mera KHulus-e-dil na jhalak saka to main kya karun

mere aks ki to KHata na thi tere aaine pe ghubar tha

(829) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Jo Dagh-e-ishq Tha KHush-numa Jo Amanat-e-dil-e-zar Tha In English By Famous Poet Javed Vashisht. Wo Jo Dagh-e-ishq Tha KHush-numa Jo Amanat-e-dil-e-zar Tha is written by Javed Vashisht. Read famous Poem Wo Jo Dagh-e-ishq Tha KHush-numa Jo Amanat-e-dil-e-zar Tha for youth and Student by Javed Vashisht. Free Download Wo Jo Dagh-e-ishq Tha KHush-numa Jo Amanat-e-dil-e-zar Tha in PDF.