Aap Jaison Ke Liye IsMein Rakha Kuchh Bhi Nahin

aap jaison ke liye is mein rakha kuchh bhi nahin

lekin aisa to na kahiye ki wafa kuchh bhi nahin

aap kahiye to nibhate chale jaenge magar

is talluq mein aziyyat ke siwa kuchh bhi nahin

main kisi tarah bhi samjhauta nahin kar sakta

ya to sab kuchh hi mujhe chahiye ya kuchh bhi nahin

kaise jaana hai kahan jaana hai kyun jaana hai

hum ki chalte chale jate hain pata kuchh bhi nahin

hae is shahr ki raunaq ke main sadqe jaun

aisi bharpur hai jaise ki hua kuchh bhi nahin

phir koi taza suKHan dil mein jagah karta hai

jab bhi lagta hai ki likhne ko bacha kuchh bhi nahin

ab main kya apni mohabbat ka bharam bhi na rakhun

man leta hun ki us shaKHs mein tha kuchh bhi nahin

main ne duniya se alag rah ke bhi dekha 'jawwad'

aisi munh-zor udasi ki dawa kuchh bhi nahin

(1555) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aap Jaison Ke Liye IsMein Rakha Kuchh Bhi Nahin In English By Famous Poet Javvad Shaikh. Aap Jaison Ke Liye IsMein Rakha Kuchh Bhi Nahin is written by Javvad Shaikh. Read famous Poem Aap Jaison Ke Liye IsMein Rakha Kuchh Bhi Nahin for youth and Student by Javvad Shaikh. Free Download Aap Jaison Ke Liye IsMein Rakha Kuchh Bhi Nahin in PDF.