Arz-e-alam Ba-tarz-e-tamasha Bhi Chahiye

arz-e-alam ba-tarz-e-tamasha bhi chahiye

duniya ko haal hi nahin huliya bhi chahiye

ai dil kisi bhi tarah mujhe dastiyab kar

jitna bhi chahiye use jaisa bhi chahiye

dukh aisa chahiye ki musalsal rahe mujhe

aur us ke sath sath anokha bhi chahiye

ek zaKHm mujh ko chahiye mere mizaj ka

yani hara bhi chahiye gahra bhi chahiye

ek aisa wasf chahiye jo sirf mujh mein ho

aur us mein phir mujhe yad-e-tula bhi chahiye

rabb-e-suKHan mujhe teri yaktai ki qasam

ab koi sun ke bolne wala bhi chahiye

kya hai jo ho gaya hun main thoDa bahut KHarab

thoDa bahut KHarab to hona bhi chahiye

hansne ko sirf honT hi kafi nahin rahe

'jawwad-shaiKH' ab to kaleja bhi chahiye

(4882) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Arz-e-alam Ba-tarz-e-tamasha Bhi Chahiye In English By Famous Poet Javvad Shaikh. Arz-e-alam Ba-tarz-e-tamasha Bhi Chahiye is written by Javvad Shaikh. Read famous Poem Arz-e-alam Ba-tarz-e-tamasha Bhi Chahiye for youth and Student by Javvad Shaikh. Free Download Arz-e-alam Ba-tarz-e-tamasha Bhi Chahiye in PDF.