Ek Taswir Ki Awwal Nahin Dekhi Jati

ek taswir ki awwal nahin dekhi jati

dekh bhi lun to musalsal nahin dekhi jati

dekhi jati hai mohabbat mein har ek jumbish-e-dil

sirf sanson ki rehearsal nahin dekhi jati

ek to waise baDi tarik hai KHwahish-nagri

phir tawil itni ki paidal nahin dekhi jati

aisa kuchh hai bhi nahin jis se tujhe bahlaun

ye udasi bhi musalsal nahin dekhi jati

samne ek wahi surat nahin rahti aksar

jo kabhi aankh se ojhal nahin dekhi jati

main ne ek umr se baTwe mein sambhaali hui hai

wahi taswir jo ek pal nahin dekhi jati

ab mera dhyan kahin aur chala jata hai

ab koi film mukammal nahin dekhi jati

ek maqam aisa bhi aata hai safar mein 'jawwad'

samne ho bhi to daldal nahin dekhi jati

(1324) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Taswir Ki Awwal Nahin Dekhi Jati In English By Famous Poet Javvad Shaikh. Ek Taswir Ki Awwal Nahin Dekhi Jati is written by Javvad Shaikh. Read famous Poem Ek Taswir Ki Awwal Nahin Dekhi Jati for youth and Student by Javvad Shaikh. Free Download Ek Taswir Ki Awwal Nahin Dekhi Jati in PDF.