Gham-e-jahan Se Main Ukta Gaya To Kya Hoga

gham-e-jahan se main ukta gaya to kya hoga

KHud apni fikr mein ghulne laga to kya hoga

ye na-guzir hai ummid ki numu ke liye

guzarta waqt kahin tham gaya to kya hoga

yahi bahut hai ki hum ko sukun se jine de

kisi ke hathon hamara bhala to kya hoga

ye log meri KHamoshi pe mujh se nalan hain

koi ye puchhe main goya hua to kya hoga

main is liye bhi bahut muKHtalif hun logon se

wo sochte hain ki aisa hua to kya hoga

junun ki rah ajab hai ki panw dharne ko

zamin tak bhi nahin naqsh-e-pa to kya hoga

ye ek KHauf bhi meri KHushi mein shamil hai

tera bhi dhyan agar haT gaya to kya hoga

jo ho raha hai wo hota chala gaya to phir?

jo hone ko hai wahi ho gaya to kya hoga

(1175) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gham-e-jahan Se Main Ukta Gaya To Kya Hoga In English By Famous Poet Javvad Shaikh. Gham-e-jahan Se Main Ukta Gaya To Kya Hoga is written by Javvad Shaikh. Read famous Poem Gham-e-jahan Se Main Ukta Gaya To Kya Hoga for youth and Student by Javvad Shaikh. Free Download Gham-e-jahan Se Main Ukta Gaya To Kya Hoga in PDF.