Hazar Sahra The Raste Mein Yar Kya Karta

hazar sahra the raste mein yar kya karta

jo chal paDa tha to fikr-e-ghubar kya karta

kabhi jo Thik se KHud ko samajh nahin paya

wo dusron pe bhala e'tibar kya karta

chalo ye mana ki izhaar bhi zaruri hai

so ek bar kiya, bar bar kya karta

isi liye to dar-e-aina bhi wa na kiya

jo so rahe hain unhen hoshiyar kya karta

wo apne KHwab ki tafsir KHud na kar paya

jahan bhar pe use aashkar kya karta

agar wo karne pe aata to kuchh bhi kar jata

ye soch mat ki akela sharar kya karta

siwae ye ki wo apne bhi zaKHm taza kare

mere ghamon pe mera gham-gusar kya karta

bas ek phul ki KHatir bahaar mangi thi

ruton se warna main qaul-o-qarar kya karta

mera lahu hi kahani ka rang tha 'jawwad'

kahani-kar use rang-dar kya karta

(916) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hazar Sahra The Raste Mein Yar Kya Karta In English By Famous Poet Javvad Shaikh. Hazar Sahra The Raste Mein Yar Kya Karta is written by Javvad Shaikh. Read famous Poem Hazar Sahra The Raste Mein Yar Kya Karta for youth and Student by Javvad Shaikh. Free Download Hazar Sahra The Raste Mein Yar Kya Karta in PDF.