Idhar Ye Haal Ki Chhune Ka IKHtiyar Nahin

idhar ye haal ki chhune ka iKHtiyar nahin

udhar wo husn ki aankhon pe e'tibar nahin

main ab kisi ki bhi ummid toD sakta hun

mujhe kisi pe bhi ab koi e'tibar nahin

tum apni haalat-e-ghurbat ka gham manate ho

KHuda ka shukr karo mujh se be-dayar nahin

main sochta hun ki wo bhi dukhi na ho jae

ye dastan koi aisi KHush-gawar nahin

to kya yaqin dilane se man jaoge?

yaqin dilaun ki ye hijr dil pe bar nahin

qadam qadam pe nai Thokaren hain rahon mein

dayar-e-ishq mein koi bhi kaamgar nahin

yahi sukun meri be-kali na ban jae

ki zindagi mein koi wajh-e-intizar nahin

KHuda ke bare mein ek din zarur sochenge

abhi to KHud se talluq bhi ustuwar nahin

gila to mujh se wo karta hai is tarah 'jawwad'

ki jaise main to judai mein sogwar nahin

(1639) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Idhar Ye Haal Ki Chhune Ka IKHtiyar Nahin In English By Famous Poet Javvad Shaikh. Idhar Ye Haal Ki Chhune Ka IKHtiyar Nahin is written by Javvad Shaikh. Read famous Poem Idhar Ye Haal Ki Chhune Ka IKHtiyar Nahin for youth and Student by Javvad Shaikh. Free Download Idhar Ye Haal Ki Chhune Ka IKHtiyar Nahin in PDF.