Karega Kya Koi Mere Gale-saDe Aansu

karega kya koi mere gale-saDe aansu

to kyun na sukh hi jaen paDe paDe aansu

jo yaad aaen to dil gham se phaTne lagta hai

kisi aziz ki palkon mein wo jaDe aansu

hua main apni tahi-damani se sharminda

kisi ki aankhon mein the ye baDe baDe aansu

KHizan mein patte bhi aise kahan jhaDe honge

hamari aankhon se jun hijr mein jhaDe aansu

main is KHayal se jate hue use na mila

ki rok len na kahin samne khaDe aansu

kisi ne ek taraf mar ke bhi gila na kiya

kisi ne dekhte hi dekhte ghaDe aansu

mahaarat aisi ki bas dekhte hi rah jao

nikalta hai koi yun khaDe khaDe aansu

tumhein kaha na ki bas ho gae juda hum log

ukhaDte ho miyan kis liye gaDe aansu

magar jo zabt ne tufan khaDe kiye ab ke!!

tamam umr bahaya kiye baDe aansu

ajab gudaz tabiat hai aap ki 'jawwad'

zara si baat hui aur chhalak paDe aansu

(1060) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Karega Kya Koi Mere Gale-saDe Aansu In English By Famous Poet Javvad Shaikh. Karega Kya Koi Mere Gale-saDe Aansu is written by Javvad Shaikh. Read famous Poem Karega Kya Koi Mere Gale-saDe Aansu for youth and Student by Javvad Shaikh. Free Download Karega Kya Koi Mere Gale-saDe Aansu in PDF.