To Kya Ek Hamare Liye Hi Mohabbat Naya Tajraba Hai

to kya ek hamare liye hi mohabbat naya tajraba hai

jise pochhiye wo kahega ki ji han baDa tajraba hai

samajh mein na aae to meri KHamoshi ko dil par na lena

ki ye aql walon ki danist se mawara tajraba hai

kaThin to bahut hai magar dil ke rishton ko aazad chhoDo

tawaqqoa na bandho ki ye ek aziyyat bhara tajraba hai

magar hum musir the ki hum ne kitaben bahut paDh rakhi hain

baDon ne kaha bhi ki dekho miyan tajraba tajraba hai

wo apni jagah KHush-guman thi ki daim hai pahli mohabbat

main apne tain mutmain tha ki ye dusra tajraba hai

kisi aur ke tajarbe se koi faeda kya uThaen

mohabbat mein har tajraba hi alag tarah ka tajraba hai

(1058) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

To Kya Ek Hamare Liye Hi Mohabbat Naya Tajraba Hai In English By Famous Poet Javvad Shaikh. To Kya Ek Hamare Liye Hi Mohabbat Naya Tajraba Hai is written by Javvad Shaikh. Read famous Poem To Kya Ek Hamare Liye Hi Mohabbat Naya Tajraba Hai for youth and Student by Javvad Shaikh. Free Download To Kya Ek Hamare Liye Hi Mohabbat Naya Tajraba Hai in PDF.