Nahin Ki Pand-o-nasihat Ka Qaht PaD Gaya Hai
nahin ki pand-o-nasihat ka qaht paD gaya hai
hamari baat mein barakat ka qaht paD gaya hai
to phir ye radd-e-munajat ki nahusat kyun
kabhi suna ki ibaadat ka qaht paD gaya hai?
malal ye hai ki is par koi malul nahin
hamare shahr mein hairat ka qaht paD gaya hai
suKHan ka khokhla hona samajh se bahar tha
khula ki harf ki hurmat ka qaht paD gaya hai
kahin kahin nazar aae to aae misra-e-tar
nahin to sher mein lazzat ka qaht paD gaya hai
nasib dil ko bhala kab rahi farawani
aur ab to waise bhi muddat ka qaht paD gaya hai
magar ab aisi bhi koi andher-nagri nahin
ye Thik hai ki mohabbat ka qaht paD gaya hai
nahin main sirf ba-zahir nahin hua viran
darun-e-zat bhi shiddat ka qaht paD gaya hai
kahan gain mere ganw ki raunaqen 'jawwad'
to kya yahan bhi riwayat ka qaht paD gaya hai
(1085) Peoples Rate This