Nahin Aisa Bhi Ki Yaksar Nahin Rahne Wala

nahin aisa bhi ki yaksar nahin rahne wala

dil mein ye shor barabar nahin rahne wala

jis tarah KHamushi lafzon mein Dhali jati hai

is mein tasir ka unsur nahin rahne wala

ab ye kis shakl mein zahir ho, KHuda hi jaane

ranj aisa hai ki andar nahin rahne wala

main use chhoDna chahun bhi to kaise chhoDun?

wo kisi aur ka ho kar nahin rahne wala

ghaur se dekh un aankhon mein nazar aata hai

wo samundar jo samundar nahin rahne wala

jurm wo karne ka socha hai ki bas ab ki bar

koi ilzam mere sar nahin rahne wala

main ne haalanki bahut waqt guzara hai yahan

ab main is shahr mein pal bhar nahin rahne wala

maslahat lafz pe do harf na bhejun? 'jawwad'

jab mere sath muqaddar nahin rahne wala

(766) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nahin Aisa Bhi Ki Yaksar Nahin Rahne Wala In English By Famous Poet Javvad Shaikh. Nahin Aisa Bhi Ki Yaksar Nahin Rahne Wala is written by Javvad Shaikh. Read famous Poem Nahin Aisa Bhi Ki Yaksar Nahin Rahne Wala for youth and Student by Javvad Shaikh. Free Download Nahin Aisa Bhi Ki Yaksar Nahin Rahne Wala in PDF.