Main Zer-e-lab Apna Shajra-e-nasab Dohra Raha Tha

chhaTi bar

wo dajla-o-furaat ke darmiyan

minara-e-babul ke sae mein

mujh par munkashif hoi

wo muqaddas minar ki satwin manzil par baiThi

aayat-dar-ayat bikhre sitaron ki

tilawat par mamur thi

wo ashtar ke mabad ke shumal mein sae banTte

baghat-e-muallaqa ko

bar-awari ki dua dene aai thi

us ka be-niyaz jism

un hathon ki na-rasai ko pahchanta tha

jo use chhune ki tamanna mein

zer-e-qaba jal rahe the

main ne do lashkaron ke darmiyan

apne dada ke rajaz mein kalam kiya

jis ki muTThi mein qabile ki aabru thi

mere aqab mein hare jismon wali aurten

aasmani daf ki lai par

maut ka tarana gane lagin

mera najibut-tarafain ghoDa

jis ka shajara

meri ungliyon ki poron par raqam tha

aur jise main apni aulad se bhi aziz jaanta tha

main ne us ki zin mein baiThne se inkar kiya

aur hawa par panw rakhta hua

dushman ke qalb-e-lashkar tak ja pahuncha

mujhe dekh kar

surmaon ki aankhen

naf tak phail gain

main zer-e-lab

apna shajra-e-nasab dohra raha tha

main ne apne panw mein bhagte KHun ko

mahmez di

aur apni zahr mein bujhi talwar

maidan-e-jang ke darmiyan gaD di

jis ke murassa daste par

zaitun ka akhuwa phuT paDa

main apni guzishta zindagi par

kaf-e-afsos malne laga

(2039) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Zer-e-lab Apna Shajra-e-nasab Dohra Raha Tha In English By Famous Poet Jawaz Jafri. Main Zer-e-lab Apna Shajra-e-nasab Dohra Raha Tha is written by Jawaz Jafri. Read famous Poem Main Zer-e-lab Apna Shajra-e-nasab Dohra Raha Tha for youth and Student by Jawaz Jafri. Free Download Main Zer-e-lab Apna Shajra-e-nasab Dohra Raha Tha in PDF.