Baadshah Teri Dahliz Ka Darban Hai

ashtar

ai aasmanon ki malika

baadshah teri dahliz ka darban hai

lagash

aur

aur

arj mein

tere nam ka sikka Dhalta hai

teri zulfen

zafar-mand lashkar ka pharera hain

aur

chehra

subh ke mashriq ka aasman

furaat ka chamakta pani

tera aaina hai

kunwariyan

tere muqaddas ahate mein

apni ismat ka sunahra sikka

bhenT karne aati hain

to minara-e-babul ki bulandi se

banjh zamin ke nam

bar-awri ka sandesa likhti hai

ai bahut se namon wali

teri hatheliyan

tere tamawwuz ke hathon ki garmi se dahakti hain

jis ke safed mabad ke sunahri kalas

meri aankhon ko KHira karte hain

tere matam-daron ke aaza-e-tanasul

teri bargah ka chaDhawa hain

azhdaha

tere panw ke tawazun pe marta hai

safed sher

tere sunahre rath ke ghoDe hain

tere sar par

par-dar bel ka saya hai

ai bar-awri ki dewi

tere qadmon ki aahaT se

murda zamin

naf tak dhaDak uThti hai

(1354) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Baadshah Teri Dahliz Ka Darban Hai In English By Famous Poet Jawaz Jafri. Baadshah Teri Dahliz Ka Darban Hai is written by Jawaz Jafri. Read famous Poem Baadshah Teri Dahliz Ka Darban Hai for youth and Student by Jawaz Jafri. Free Download Baadshah Teri Dahliz Ka Darban Hai in PDF.