Zamin SimaT Kar Mere Talwe Se Aa Lagi

ai tin chehron mein

raushan peshani wale

tera naqsh

paedar aur qadim hai

tu ne safed baizawi zindan se

bahar panw rakha

to zamin tere istiqbaal ke liye

maujud na thi

tu ne narm lahje mein

napaid samton ko aawaz di

aur apne chaaron aur phailne laga

tu ne kanwal ki pattiyon se

bichhauna taKHliq kiya

aur apni zindagi ka awwalin KHwab dekhne laga

ek azim duniya ki taKHliq ka KHwab

tu ne hawaon ko kat kar

aasmanon ki chadar banai

aur khaulte samundaron ki gahrai se

zamin ko bahar nikal laya

tu ne chuTki-bhar raunaq

zamin ke chehre pe mil di

tu ne mere liye

surmai rang ka ghoDa taKHliq kiya

aur apne liye

safed bataKH

zamin

simaT kar mere talwe se aa lagi

to samundaron ki siyahat par

rawana ho gaya

ai azim bap

tere tirath ke muqaddas paniyon mein

taza jismon ke gulab mahakte hain

tu ne apne Dhak ke sabz patton se

zamin ke liye saya banaya

aur tanhai ka sikka

samundar mein baha diya

tu ne apne liye saraswati taKHliq ki

aur us ke pahlu se lipaT kar

duniya ki mismari ka KHwab dekhne laga

(1741) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zamin SimaT Kar Mere Talwe Se Aa Lagi In English By Famous Poet Jawaz Jafri. Zamin SimaT Kar Mere Talwe Se Aa Lagi is written by Jawaz Jafri. Read famous Poem Zamin SimaT Kar Mere Talwe Se Aa Lagi for youth and Student by Jawaz Jafri. Free Download Zamin SimaT Kar Mere Talwe Se Aa Lagi in PDF.