Chand Un Aankhon Ne Dekha Aur Hai

chand un aankhon ne dekha aur hai

shahr-e-dil pe jagmagata aur hai

lams ki wo raushni bhi bujh gai

jism ke andar andhera aur hai

ai samundar rasta dena mujhe

lauh-e-jaan pe nam likkha aur hai

wo jo chiDiya nachti hai shaKH par

us ke andar ek chiDiya aur hai

moD par ruk jae ki kachchi saDak

sath chalta hai wo rasta aur hai

hijr ke sae na taswir-e-KHizan

yar us ke ghar ka rasta aur hai

taliyon se hall sara bhar gaya

jaanta hun sher sachcha aur hai

(648) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chand Un Aankhon Ne Dekha Aur Hai In English By Famous Poet Jayant Parmar. Chand Un Aankhon Ne Dekha Aur Hai is written by Jayant Parmar. Read famous Poem Chand Un Aankhon Ne Dekha Aur Hai for youth and Student by Jayant Parmar. Free Download Chand Un Aankhon Ne Dekha Aur Hai in PDF.